Do Ka Chaar Lyrics - Chaman Bahaar

Do Ka Chaar Lyrics - Chaman Bahaar - Sonu Nigam Lyrics

Singer Sonu Nigam
Music Anshuman Mukherjee
Song Writer Apurva Dhar Badgaiyan

Do ka chaar tere liye solah
Tu zarde ki hichki
Gulkand ka tola
Tu meetha paan
Main kattha koriya
Dekha jo tujhko
Mera dil yeh bola

Tu raaj dulari
Main shambhu bhola
Tu mann mohini
Mera bairaagi chola

Tu tez chingari
Main charas ka jhola
Tu meethi roohafza
Main barf ka gola

Udati hai khushboo kimami
Hota nasha zaafrani
Main betod dard ki kahaani
Tu hi to hai mera malham yunaani

Do ka chaar tere liye galla
Tu hi to allah tu hi mohalla
Do ka chaar tere liye solah
Dekha jo tujhko mera dil yeh bola






Previous
Next Post »